Friday, May 20, 2011

terey shaher ka

 
Yeh mazaaq hai meri zaat se ya riwaaj hai tere sheher ka
kabhi is taraf kabhi us taraf kya mizaaj hai tere sheher ka

yahan nafratein bari aam hain yahan chahaton ki qadr nahin
wo jo khoon tha mere jism mein wo anaaj hai tere sheher ka

nahin hadd yahan kisi zulm ki na hi paas hai kisi rabt ka
jo haal tha yahan kal talak wo aaj hai tere sheher ka

yahaan kaatna kisi aur ko hai bahaduri ki alamatein
wo jo jungalon mein bhi tha kabhi wo raaj hai tere sheher ka

No comments: