Friday, January 14, 2011

Haal-e-Dil



Ek kasak thi dil me jo ham kah na sake
Wo samne aaye bhi aur ye lab khul na sake
Nazare bhi mili baate bhi hui par hal-e-dil kah na sake
Hatho me hath the darmiya ek gul bhi ham sah na sake
Dil ka har haal tha use pata par wo pooch na sake ham kah na sake
Barso kiya tha jis pal ka intazaar wo pal bhi tha
Wo raat bhi thi liye sau affatab fir bhi izar-e-muhabbat kar na sake
Na tumne kuchh kaha na hum tumse kuchh kah sake
Dil bekaraar tha itna ki har raaz tumse chhupa bhi na sake
Khud se hi khud par apna ikhtiyaar rakh na sake
Ek raat guzari yu laga jaise guzar gai hai sadiya
Tum laut aao ki tujhko bhi hai pata ki tum bin hum ji na sake
Ay kash !ek surmai sham aaye tera payam laaye sara-e-khat ka jabab laaye
Jaan-e-man tere khawab-o-khayalo se hum kabhi bahar aa na sake
Tujhko jab se hai palko par sajaya dil ki her dhadkan me basaya
Khud ko bhoole hai hum itna ki apna aqx bhi aaine me pa na sake

No comments: