Friday, January 14, 2011

Kabhi khud par

Kabhi khud par to kabhi apne hi haalat par hansi aai
Tu na aaya par teri yaad mujhe hasane chali aai
Jaan hu mai teri jab itna hi khayal-e-tasavver aai
To khud par itra ke surkh gaalo par laali si chhai
Padha tha kabhi panno me pyar deewaana hota hai
Par tujhko mil ke usski kimat to aaj samjh aai
Ab kya haal-e-dil kahu humdam mere tujhse
Pal bhar ki doori teri mujhe kitne kareeb laai
Aaj jaana hai iss dil ki deewangi ka suruur
Jab aankho me mere tere khawbo ki taabir aai
Dil ki dhadkane karti hai ek tere hi naam ka sumiran
Aaine me apne chehre me teri hi chhvi paai
Khabhi mai khud par itraai kabhi aaina dekh sharmaai
Sanam teri ishq-e-nuur meri aankho me harpal pade dikhai
Hai ye mera deewanapan aur ye mohabbat ka suruurr
Ay dil-e-naadan itni si baat kyu na meri samjh aai

No comments: