Zindagi me har gham ko bhul hamne muskurana sikha hai
Gulo ki tassavar dekh hamne muskurana sikha hai
Badalte rut se hamne ye zindagi jeena sikha hai
Jo gam mile zindagi me use hamne bhulana sikha hai
Jo gam mile zindagi me use hamne bhulana sikha hai
Door kanhi milte hai zami aasman unse umeed jagana sikhaa hai
Sahil aur samandar ko dekh hamne ithlana sikha hai
Yun to har koi khud ko gham me dooba deta hai
Dariya ki mauzo se hamne aage bad jana sikha hai
Mitti ki sondhi khusboo se gulshan ko mahkana sikha hai
Gam ko bhula hamne khud ko khusi ki barish me bhigona sikha hai
No comments:
Post a Comment