Ajab din they mohabbat k ,ajab din they rafaqat ke
kabhi gar yaad aa jaye to palkon par sitarey jhil'milatey hain
kisi ki yaad main raaton ko jagna mamool tha apna
kabhi gar neend aajati to hum yeh soch letey they
k abhi to woh humare waste roya nahin hoga
soya nahin hoga
abhi hum bhi rote hain ,abhi hum bhi nahin sotey
so phir hum jagtey they aur usey yaad kartey they
akeley baith kar veeran dil aabad kartey they
humare saamne sitaron ki jhurmut main chand hota tha
jo us k husn k aagay bohat hi maand hota tha
falak par raqs kartey un'ginat sitaroon ko
jo hum tarteeb detey they to us ka nam banta tha
hum aglay rooz jab milltay to guzre raat ki har
be'kali ka zikr karte they
har ek qis'sa sunatey they
kahan kis waqt dil dharka bata'tey they
main jab kahta k janaan aaj to main raat ko
ek pal nahi soya,to woh khamosh rahti thi
par us ki neend main doobi us ki bojhal si aankhain
aachanak bool uth'ti thiin
main jub us ko bata'ta tha mainey
raat k roshan sitaron main tumhara naam dekha hai
tu woh kahti,tum jhoot kahtey ho
sitare maine dekhey thy aur un roshan
sitaron main tuhara naam likha tha
Ajab masoom larki thi
mujhy kahti thi lagta hai ,ub upne sitare mill hi jaen gay
magar us ko khabar kia thi ,kiare mill nahin sakte
Mohabbat ki kahani main mohabbat karney walon k sitarey mill nahin sakte
kinare mill nahin sakte
No comments:
Post a Comment