Aoo......
dekhaoon tumhein
in udas aankhoon main
apni arzuon ka
surah khoon main jaltey hoye
agar dekh sako to....
dekho idhar
is veeraan dil main
mere gumnam armanon ki
siyaah raakh urtey hoye
in khamosh ansuon main
meri muhhabt ko....
be-sahara doobtey hoye
aur.... suno zara
is bikhari saanson ko
hain jin main aheen
us be rang jeewan ki
jis ke sab rang ......
tum ne chura liye
na itbar kar
meri is khokhli hansi ka
koi jane bhi kya
in khamosh hontoon ko
khushiyon ki rah taktey taktey
ek adat se par gai hai
ansuon ke sang muskurane ki
sun to rahey hoge tum
is hansi ke parde main
meri us muhhabt ki siskiyan
jo ansoon me beh kar.....
khaak me mil gai
woh khaak jo tujh bewafa ke.....
qadmon taley rondi gai
dekhaoon tumhein
in udas aankhoon main
apni arzuon ka
surah khoon main jaltey hoye
agar dekh sako to....
dekho idhar
is veeraan dil main
mere gumnam armanon ki
siyaah raakh urtey hoye
in khamosh ansuon main
meri muhhabt ko....
be-sahara doobtey hoye
aur.... suno zara
is bikhari saanson ko
hain jin main aheen
us be rang jeewan ki
jis ke sab rang ......
tum ne chura liye
na itbar kar
meri is khokhli hansi ka
koi jane bhi kya
in khamosh hontoon ko
khushiyon ki rah taktey taktey
ek adat se par gai hai
ansuon ke sang muskurane ki
sun to rahey hoge tum
is hansi ke parde main
meri us muhhabt ki siskiyan
jo ansoon me beh kar.....
khaak me mil gai
woh khaak jo tujh bewafa ke.....
qadmon taley rondi gai
No comments:
Post a Comment