mujhpar aur ilzaam-e-mohabbat kya hoga
Suroor bhara jaam-e-mohabbat kya hoga
.
har ghazal me maiN likhata huN tujhko
aur mera paigaam-e-mohabbat kya hoga
.
har waQt tere sajde me huN main pada
is se bada salaam-e-mohabbat kya hoga
.
Ikarar toh kar liya humne mohabbat ka
jane ab Anzaam-e-mohabbat kya hoga
.
chal nikale sang tere hum nayi subah ko
kaun jane Shaam-e-mohabbat kya hoga
.
yuh ghur-ghur dekh rahe yeh duniya wale
jane ab apna Naam-e-mohabbat kya hoga
.
tay karliya hai katooN ka safar, par jane
ab agla ikhtehaam-e-mohabbat kya hoga
.lamba hai yeh safar, tedi-medi hai dagar
kaun jane mukaam-e-mohabbat kya hoga
.jo rakh sake zinda teri-meri yeh kahani
jane woh Qalaam-e-mohabbat kya hoga
kaun jane mukaam-e-mohabbat kya hoga
jane woh Qalaam-e-mohabbat kya hoga
No comments:
Post a Comment