Suna tha khushiyon pe tho harr kisika haq hota hai
Humne iski thodi si tawaqqo ki tho kya gunaah kiya?
Is matlabee dunya me har darr pe siron ko jhukte dekha hai
Humne khuda se rihayee ki iltijaa ki tho kya gunaah kiya?
Har koi dil me nashtar chubhone ko tayyar baitha nazar aata hai
Iss ghayal dil ke khatir thode se pyaar ki aarzoo ki tho kya gunaah kiya?
Ta-umr auron ki khushi ke liye apne armanon ko maar kar jiya kiye
Kabhi be-ikhtiyari me khudke liye dua nikli tho kya gunaah kiya?
Is jahaan ka manzar rangon se aabad nazar aata hai
Aaj apni zindagi mein thode rang bharne chahe tho kya gunaah kiya?

No comments:
Post a Comment