Thursday, March 17, 2011

bada kathin hai ye rasta

 
bada kathin hai raasta jo aasako to sath do,
yeh zindagi ka fasla jo mita sako to sath do,
baday fareb khao gay baday sitham khao gay,
yeh umar bhar ka sath hai jo nibha sako to sath do,
jo tum kaho to dil to kya jaan bhi fida karon,
jo mein kahon to ik nazar lota sako to sath do,
hazar imtihan or hazar azmaishain, 
hazar dukh hazar gham utha sako to sath do, 
yeh zindagi yahan khusi ghamon k sath sath hai 
rula sako to sath do hana ako to sath do


No comments: