Friday, March 25, 2011

Bahot door hun


Bahut door hoon par tujhse juda nahi hoon main
Parchai hoon teri par phir kyon tere saath nahi hoon main??..
Log kahenge ke main bedard hoon, khudgarz hoon
Par kya sach mein tere pyaar ke kaabil nahi hoon main??.
Jo mere khwaabo mein, socho mein, khayalo mein hai shaamil
Ussi shaks se aaj puchta hoon..”kya tera apna nahi hoon main?”
Kuch jazbaat dil mein aise bhi the jo hamesha se chup rahe


Par aaj unn jazbaaton ko alfaz mil gaye hai
Aaj unn jazbaaton ka karzdaar nahi hoon main…
Jo mohabbat ki daastaan khamoshiyon se guzre
Usme bhi bahut dard aur jazba hota hai,
Har panna padh liya jaye,aisi koi kitaab nahi hoon main…
Kabhi-Kabhi apne likhe hue alfaaz bhi apne hisse ki zindagi jee lete hai
Ab kisike dil mein chupa hua koi ehsaas nahi hoon main…
Jaanta hoon, aapne bhi kabhi suni hai woh dil ki pukaar ko
Ab yeh na kehna ke woh awaaz hi nahi hoon main…
Har ilzam, har shikwa “khwaish” seh jayega iss jahan mein
Bas…kabhi yeh na kehna ke ab tera nahi hoon main….
“KHWAISH” naam hone ki bhi ek wajah thi is dil ke paas
Par aaj…baaki koi khwaish nahi hoon main….

No comments: