Wednesday, March 16, 2011

Wo chanchal si


Woh Chenchal Si Albaili Ladki
Meri Nazmain Yoon Sunti Hai

Jaise In Nazmon Ka Mehwar
Us ki apni Zaat Nahi Hai

Yaani Itni Sundar Ladki
Aur koi Bhi Ho Sakti Hai

Jaise Usay Maloom Nahi Hai
Us Ladki K Saare Kaam

Saaray Naam Usi K Hain
Sab Baatein Hain Us Ki Baatein

Sab Saa-y hain Us Kay Saa-y
Saaray Mohmil Us K Hain

Main Jab Nazm Sunata Hoon
Woh Gum Sum Si Ho Jati Hai

Laikin Thodi Dair Mein Phir Se
Patthar Ki Ho Jati

Woh Chenchal Si Albaili Ladki
Wohi Aik Akaili Ladki 

No comments: