Thursday, March 17, 2011

Tumhari aankhein


tumhari zulfain..
tumhari palkain..
tumhari ankhain..
tumhara chehra...
tumharay shaanay...
suraahi gardan..
klaiyun mein khanaktay kangan...
hinaai hathon mki ungliyun ki haseen porain...
k jin mein sandal mehak rahi hai...
yeh naram sanson ki gungunahat...
kadam uthao to dharkanain...
sath chorti hian...
badan ka har zawya qyamat....
nahi tumhari misaal jana'n...
kamal ho tum kamal jana'n...
tumhara sab kuch haseen hai lajawab hai par...
mera nahi...
tumhara kuch bhi mera nahi....!

No comments: