Thursday, March 31, 2011

yahi kehna mohabbat hai

 
Ujala jo kahin dekho...
yahi kahna mohabbat hai 
kisi ke khuwab main ubhro... 
yahi kahna mohabbat hai 
khizaon main jo bas jao 
to thamo haath chahat ka 
udaasi main kabhi utro...
yahi kahna mohabbat hai 
koi tum se jo pooche 
kiyon safar ye bandh rakha hai 
jo darya paar jana ho...
yahi kahna mohabbat hai 
sitare jo kabhi utren 
kisi ka naam aate hi 
dukhon main doobti ankhon...
yahi kahna mohabbat hai 
kinare doob jayen 
gar samundar sirf zinda ho 
judai main base logo...
yahi kahna mohabbat hai

No comments: