Thursday, March 17, 2011

kahin ujri ujri

 
Kahin ujri ujri c manzilen kahin tutay phutay se bam-o-dar, 
Ye wohi darya hai dosto jahan log phirtay thay rat bhar, 
Mai bhatakta phirta hon der se younhi shehar shehar nagar nagar, 
Kahan kho gya mera qafla kahan reh gaye mere humsafar, 
Jinhen zindgi ka sha'uur tha unhen be-zari ne bichha dia, 
Jo giran thay sena-e-khak per wo hi ban k baithay hain moutbar, 
Meri be-kasi ka na gham kero magar apna fayda soch lo, 
Tumhain jis ki chhaon aziz hay main usi darakht ka hoon samar, 
Ye baja k aj andhera hay zara rut badalne ki der hay, 
Yo khizan k khof se khushk hay wo he shakh laye gyi barg-o-bar!


No comments: