Friday, March 25, 2011

jise apni aankhon me


Jise apni aankho me basaya tha maine,

Na jaane kab mere aansuo ke saath beh gaya

Jo meri tanhai me raha karta tha pehle,

Na jaane kab hawa bankar guzar gaya

Jise sajakar rakha tha maine dil me,

Na jaane kaise vo tutkar bikhar gaya

Chale the jin raaho par saath milakar har kadam,

Na jaane kab vo apni raahen badal gaya

Banaya tha jisne mohabbat ka aashiyaana kabhi,

Na jaane vo mahal kaise jal gaya

Yun to dard pehle se hi tha zindagi ke saath,

Iss baar ka tutna dekhkar vo aasmaan bhi pighal gaya..




No comments: