Friday, March 25, 2011

yunhi besabab tha


Yunhi besabab tha mera likhna kabhi,

Koi hai ab jo is dil ki kitaab me rehta hai,

Yunhi bemayane the mere lafz yahan,

Koi hai ab jo mere har alfaaz me sajta hai,

Yunhi anjaan tha mai zamaane ki bheed me,

Koi hai ab jis-se mera ek rishta purana hai,

Yunhi tarasti rahi har pal ye aankhe kisike liye,

Koi hai ab jo meri inn num aankho me basta hai,

Yunhi chale the kadam ek manzil ki talaash me,

Koi hai ab jo mera rehnuma bankar saath chalta hai,

Yunhi tadapte rahe har lamha kisike intezaar me,

Koi hai ab jo roz khwaabo me mujhse milta hai,

Yunhi dekhe hai bezaar mausam in aankho ne,

Koi hai ab jo gulshan ki tarah dil ke aangan me khilta hai,

Yunhi baate hui ek raat mere aks aur mere beech,

Inhi adhure khayaalo se ab ye dil behelta hai .




No comments: