Wednesday, March 16, 2011

tum ko socha karte hain

 
 
Suno 
Jab barish barsa karti hai, 
or har su pani hota hai, 
hUm apne gar k angan main, 
Amar-bail k saayey main, 
boondon ko daika karte the, 
or tm ko socha karte the, 
Suno! 
jab rat siya ho jati hai, 
or chandi phela karti hai 
hum apne gar k angan main, 
chup k apne bistar main 
taroon ko daika karte hain, 
or tum ko socha karte hain...


No comments: