Wednesday, March 16, 2011

mere ajnabi mere aashna

 
Meray ajnabi meray aashna !

Tujhy harf harf main dua likhon . . .

Koi aisa wasl naseeb kar,

Tujhy chaand, par, hawa likhon . . .

Agar na ban sakon kabhi tera,

To hayaat ko main fanna likhon . . .

Jo na darr ho mujhy kufar ka . . .

Main tujh ko apna Khuda likhon . . .

Yeh zindagi qadam qadam pe,

Teri yaad sy jawaan rahay . . .

meray ajnabi meray aashna,

Main tujhy kabhi na juda likhon . . . 


No comments: