Thursday, March 17, 2011

mai khud zameen hu

 
main khud zameen hoon magar zaraf asman ka hai, 
k toot kar bhe mera hosala chataan ka hai,
bura na maan merey huraf zehar zehar sahi, 
me kiya karoon ka yahi zaieqa zuban ka hai, 
har ek ghar pay musallat hai dil ki veraane, 
tamam shehar pay saya meray makan ka hai, 
bachartay waqat say ab tak main yoon nahi roya,
woh keh gaya tha yahi waqat imtahaan ka hai, 
musafiron ki khabar hai na gukh hai kashti ka, 
hawa ko jitna be gham hai woh badban ka hai,
woh barag zad ki surat hawa me urta hai, 
woh ek waraq be mere apne dastaan ka hai, 
yeh or bat adalat hai baykhabar warna,
tamam shaher me charcha meray beyaan ka hai, 
asar deka na saka us kay dil me asak mera,
yeah teer be kise totee howee kaman ka hai, 
bechar be jaayay magar muj say bay khabar be rahay, 
yeah hosla hi kahaan meray badguman ka hai, 
kafas to khar muqadar me tha magar,
hawa me shoor abhi tak mere uraan ka hai


No comments: