Wednesday, March 23, 2011

usne kaha mujhse



 
Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai
Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai

 
Usne kaha kon Tumhein hai boht Aziz
Mai ne kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai

 
Usne kaha konsa Tohfa hai pasand?
Mai ne kaha Wo Shaama jo ab tak Udhaar hai

 
Usane kaha sath kahan tak Nibhao ge?
Mai ne kaha jitni ye Saanson ki Taar hai

 
Usne kaha Mujh ko Yaqeen aaye kis tarah?
Mai ne kaha Mera Naam hi Aitbaar hai


No comments: