Thursday, March 31, 2011

Tum kaun ho.....


Tum Koun Ho..... Tum se kya rishta ha......Tum meri aakhir lagti kya ho.......Tumhay har waqt soachta hi kyu rehta hu.....Tumhay kyu khawabo mai daikhnay ka armaan hadh se guzar jata ha.....Tumhay kyu har waqt paanay ki chahat har waqt mere andar baidaar rehti hai..... Tum aakhir ho koun?????

Yeh kaisa rishta ha jo har waqt mujhe tum se milnay ko kehta hai.......Aakhir iss rishtay mai aisi kya baat hai........Jo dunya ke kisi bi rishtay mai nahi.......Aakhir ye kaisa rishta hai ke jiss ke yaad aanay se dunya ki tamaam cheezain Be-Maani ci lagnay lagti hai......Ke jiss ke yaad aanay se apni zaat bhi adhuri ci lagnay lagtay hai.......Aakhir kya baat hai iss rishtay mai.......Aur yeh rishta hai Koun Sa...........???????

Mai to aaj tak jaan paaya.....Lakin agar aaj tak nahi jaan paaya to phir kis din Jaan paayu ga.........Ya phir kabhi jaan paayu ga bhi ya nahi???????....
Aakhir Tum Ho Koun....?????.........Aur yu dil mai kyu utar gayi ???????...... Kyu iss tarha meri Rag Rag mai samaa gayi ?????............ Meri zaat ka aik hiss ban kar reh gayi ho tum????........Meri Dharkan mai samaa gayi ho????????

Aakhir Kyu????????????????

No comments: